﷽
Sallallahu ‘Alayhe Wasallam
Tashahhud Dua Recited in Prayers in English
Attahiyyaatu Lillahi Wa-Ssalawaatu Wa-Ttayyibaatu
As-Salamu ‘Alayka Ayyuhan-Nabiyyu Wa-Ra’hmatullahi Wabarakaatuhu
As-Salamu ‘Alayna Wa-‘Ala ‘Ibadillahi-Ssaaleheen
Ash-Hadu Anlla-Ilaha Illallahu
Wa-Ash-Hadu Anna Mu’hammadan ‘Abduhu Wa-Rasooluhu
Line-by-Line Translation of Tashahhud Dua Recited in Prayers in English
At-Tahiyyatu lillahi Greetings, prayers and
Wassalawatu wat-Tayyibatu. goodness belong to ALLAH.
As-Salamu ‘ alaika Peace be on you,
Ayyuhan-Nabiyyu O Prophet
Wa Rahmatullahi and the mercy of ALLAH
Wa Barakatuhu. and His blessings.
Assalamu ‘Alaina Wa’alaa Peace be on us and on
‘Ibadillahis -Saleheen the righteous servants of ALLAH
Ash hadu anlla ilaha I bear witness that
Illallaahu there is no god but ALLAH,
Wa Ash Hadu Anna and bear witness that
Mu’hammadan ‘Abduhu Muhammad is His servant
Wa Rasooluhu.” and Messenger.”
Attahiyat Lillahi Wa Salawatu Dua Ki Tafseel Roman English Mein
Hazrat ‘Abdullah RadiALLAHu Anhu se riwayat hai:
“Rasool ALLAH (ﷺ) ne hamen namaz ke liye aur Al-Hajat yaani hajat ke liye ke liye Tashahhud parhna sikhaya. Namaz me Tashahhud kya hai? Aaiye iske bare me tafseelan jante hain.
Ibn Mas‘ood RadiALLAHu ‘Anhu se riwayat hai:
“Rasool ALLAH ﷺ ne Apne Mubarak Hathon ke darmiyan mera hath thaam (pakad) kar mujhe Tashahhud sikhaya, bilkul waise hi jaise Aap ﷺ mujhe Quran Pak ki surah sikhaya karte the.
Sahih Muslim 403 b | Book 4, Hadith 65
‘Abdullah bin Mas’ud ne farmaya:
“Tashahhud ko khamoshi ke sath parhna Sunnat hai”
Jami’at-Tirmidhi 291 | Book 2, Hadith 143
→ La Hawla Wala Quwwata Ka Wazifa
Kya Tashahhud ki Asal Shuruwat Mi’raaj Shareef se hui thi?
Internet par Tashahhud dua ke bare me aapko bahut se jankaari/malumaat milengi. Jo Kayi jagah par bina kisi hawale aur hadees ke hai.
Tashahhud ka aaghaz (shuru) hone ki kya waqayi baqayeda ek kahani hai? Jab Huzoor Pak ﷺ Mi’raaj Shareef par tashreef lekar gaye the, ye dua tab nazil hui thi. Is waqeya ke mutalliq Ahadees me koi thaus (pakka) suboot nahi mil saka.→ Durud e Pak Ka Wazifa
Aur Islam me iske bare me koi buniyad nahi payi jati.
Tashahhud Dua Kab Parhi Jati Hai?
Jab aap farz ya nifl namaz ada karen, Sunnat, Farz, Nawafil, aur Witr. Har tarah ki namaz ada karte waqt, Qaidah ki halat me baithte hue Tashahhud dua lazman parhi chahiye. Iske baghair namaz adhoori hai.→ Hasbunallah Wanikmal Wakil Wazifa
Tashahhud Dua Parhte Waqt Shahaadat Ki Ungli Kab Khadi Karni Chahiye?
‘Amir bin Abdullah bin Az-Zubair apne Walid se riwayat karte hain;
“Jab Rasool ALLAH (ﷺ) Tashahhud parhne ke liye baithte, to Aap ﷺ apna dayan hath apni dayen raan mubarak par rakhte aur angusht-e-shahaadat (kalme wali ungli) se ishara karte, aur Aap ﷺ apni nazar us ungli se aag tak na dalte jisse ishara kar rahe hote the.
Grade : Sahih (Darussalam) | Sunan an-Nasa’i 1275
Ibn ‘Umar RadiALLAHu ‘Anhu ne farmaya:
Jab ALLAH ke Paighamber (ﷺ) At-Tashahhud ke liye baithte, to Aap ﷺ apna bayan hath bayen gutne par rakhte, aur dayan hath dayen gutne par rakhte. Phir dayen hath ki ungliyon ko morde (band karte) hue shahaadat wali ungli se ishara karte.
[Muslim Shareef]